Piczo

Log in!
Stay Signed In
Do you want to access your site more quickly on this computer? Check this box, and your username and password will be remembered for two weeks. Click logout to turn this off.

Stay Safe
Do not check this box if you are using a public computer. You don't want anyone seeing your personal info or messing with your site.
Ok, I got it
Back To Home Page
Signs of the Last day
Rasool Allah (s.a.w) ne farmaya keh Qayamat na ayegi yahan tak keh sarzameen hijaz say aik aag niklegi jo basra mein oonton ki gardanain roshan kar daigi ( Bukhari o muslim)


Qayamat ( londi apni malkan ko janam daigi aur yeh keh tu dekhega keh brehna paa.... nang dharang... bakrian charanay walay oonchi oonchi imaratain tameer karengay.. (Sahih muslim)



Rasool Allah (s.a.w) madeena k aik buland makan par charhay aur sahaba ko mukhatib kar k farmaya kya tum uss cheez ko dekhtay ho jisay mein dekh raha hoon? sahabi ne arz kiya nahi! Aap ney farmaya mein unn fitno ko daikh raha hoon jo tumharay ghar par iss tarah baras rahay hain jiss tarah barish barasti hai ( mashkat shareef)

Hazrat abbu huraira sey riwayat hai keh huzoor (s.a.w) ney farmaya keh QASAM hai uss zaat ki jis k haath mein meri jaan hai keh zamanay baham qareeb hongay, aur fitno ka zuhoor hoga aur dilon par bukhal daala jayega aur harj ki aksariyat hogi. Suhaba ney poocha keh ya Rasool Allah haraj kya hai tho farmaya Qatl-o-gharat ( bukhari o muslim, Mashkat shareef jild som)

Hazrat abbu huraira sey riwayat hai keh huzoor (s.a.w) ney farmaya keh Qasam hai uss zaat ki jiss k haath mein meri jaan hai keh dunya uss waqt tak fana na hogi jab tak logon par aisa din na aa jaye jiss mein Qatil ko yeh maloom na ho keh uss nay maqtool ko kyun qatal kiya aur maqtool ko yeh maloom na ho keh usay kyun qatal kiya gaya. Sahaba ney poocha keh aisa kyun kar hoga? farmaya! harj aur qatil o maqtool dono jahanam mein jayengay ( mashkat bahawala msulim, hadees 515)

jab mamlaat na ehal logon k hawalay honay lagain tho qayamat ka intezar karo ( sahih Bukhari)

aap (s.a.w) nay farmaya keh meri ummat mein kuch loug aisay hongay jo raisham... mehnoshi aur ganay bajanay ko halal samjhain gay ( bukhari shareef)

khudhgharzi aur lalach maashray mein aam hongay. (sahih muslim, ibn-e-maja)

sirf jaan pehchan k logon ko salam kiya jaega (ramooz-e-ahadees, ahmad khamoshkhawyi)
Rishwat tahayef ki shakal ikhtiyar kar laigi ( ehwal yom alqayama, alamaa safrani)

loug mamooli qeemat par apna eeman firokht karengay (ahmad)

Talaq aik mamooli baat samjhi jaegi ( ehwal yom alqayama, alamaa safrani)

jinsi berah rawi aam hogi (bukhari)

jab qayamat bapa hogi tho zina kaari logon ka mamool hoga (kitabul fitan, alhaitami)
,
mard aurton k aur aurat mardon k roop dharengay ( dur-e-mansoor, alama jalal udeen siothi)
loug hamjins parasti mein mubtala hongay. (muntakhib kinzul amaal. almutaqi alhindi)

Aap (s.a.w) nay farmaya keh qayamat ki nishanion mein say aik kam umar logon k haan ilam ki talash hai (tibrani)

Abbu huraira sey riwayat hai keh aap(s.a.w) nay farmaya keh aik dour aisa aega jab ameen logon par tohmat lagayi jaegi aur tohmat zada loug ameen samjhay jaengay aur tab robaiza guftagoo kiya karengay. Huzoor (s.a.w) sey daryaft kiya gaya keh ya Rasool Allah yeh robaiza kya hain? jawab mila woh ehmaq loug jo aam logon k mamlaat par guftagoo kiya karengay. (tibrani)

abbu huraira sey riwayat hai keh huzoor (s.a.w) nay farmaya   logon par aik waqt aisa bhi ayega jab iss baat ki parwah nahi rahegi   keh ayaa koi maal halal kamaya hai ya haram (bukhari shareef, nisayi)

aap (s.a.w) nay farmaya keh aakhri zamanay mein loug kabootar k potay ki tarah siyah khizab lagaengay. woh janaat ki khushboo na soongh sakengay. ( abbu daud nisayi )

huzoor (s.a.w) nay farmaya keh akhri zamanay mein meri umaat k kuch loug palanon say milti julti zeenon par sawar ho kar masajid k darwazon par utrengay.. ( mutadarik)

huzoor (s.a.w) nay farmaya keh Qayamat tab tak bapa na hogi jabtak zalzalay bakasrat na honay lagain (bukhari)

hazrat anas say riwayat hai keh huzoor pak (s.a.w) nay farmaya keh qayamat tab tak qayem na hogi jab tak zamanay apas mein qareeb na ho jayen... pas saal maheenay k barabar ho jaega aur maheena hafta k barabar.. hafta din k barabar.. din ghantay k barabar.. aur ghanta aik chingari ki tarah jo chamak kar foran bujh jati hai.. ( mashkat bahawala tirmizi, hadees number 5212)

Huzoor (s.a.w) nay farmaya keh ghareeb tedaad mein barh jaengay aur anaaj sirf ameeron tak pohanchega- ghareeb ko iss ka koi faeda nahi hoga (tirmizi)

hazrat abbu huraira se riwayat hai keh huzoor (s.a.w) nay farmaya keh qayamat qayim na hogi yahan tak   keh darya-e-firat say sonay ka pahar na nikal ayey jiss par logon mein katlo gharat hogi aur har 100 mein say 99 qatal ho jaengay aur in mein say har woh aadmi kahega keh shayed mein he woh shakhs hoon jisay nijaat hasil hogi yani khazanay par qabza kar loonga (hadees)
aap s.a.w nay farmaya keh imam-e-mehdi k aanay say pehlay aik dumdaar sitara mashriq say tullo'e hoga ( almutaqi almhindi)
hazrat abbu huraira say riwayat hai keh rasool-e-akram (S.a.w) ne farmaya keh meray aur Eisa k darmian koi nabi nahi, woh utarnay walay hain tum unhain daikho tho pehchan laina, woh miana qad k aadmi hongay, rang surkhi aur sufaid mayil hoga, aur zard rang k woh kapray pehnay hongay, pani na parnay k bawajood un k sar say katray tapak rahay hongay. ( abu daud )

hazrat jabir bin abdullah say riwayat hai rasool Allah (s.a.w) ne farmaya keh meri ummat ka aik groh haq ki khatir qayamat tak larta rahay ga aur ghalib hoga, phir Eisa nazil hongay, Musalmano ka ameer unn say kahega k ayieye humain namaz parhaeye, lekin woh kahengay keh nahi ameer tum mein say hoga, yeh woh aizaaz hai jo Allah tala nay iss umaat ko   bakhsha hai ( sahih muslim)